Proffesonal Blogger Banne Ke Raste

Monday, April 16, 2018

Blogger Banne Se Pahle Jan Le In Bato Ko ( Blogging work )

hello friends , welcome to sahi raste par aapka swagat hai . is post me ham blogger banne se pahle kuch jaruri bato ko janennge . agar aap ek blogger banna chahte hai to is post ko puri padhe. bina jane blogging ka matlab time waste karna . blogging karne ki sabki vajah alag alag hoti hai , koi sikhne ke liye blogging karta hai , koi time pass ke liye blogging karta hai , koi online apna name banane ke liye blogging ko choose karta hai aur koi paise blogging karta hai .

paise kamane ke liye blogging karne vale kuch blogger chupate hai aur logo ko batate hai ki ham blogging kisi kisi ki help ke liye karte hai . lekin aisa nahi karna chahiye becoz blogger ko koi chij chupani nahi chahiye ( yah kisi personal blogger ke bare me nahi hai )

Blogger Banne Se Pahle Jan Le In Bato Ko ( Blogging work )

ji ha aapne uper padha blogger banne ke liye kaisi kaisi mehant karni padti hai jab jakar aap ek blogger ban sakte ho . kab kam start karna aur kab end , kab kya karna vo sari jankari is post ke andar hai .



Blogger kitni mehanat karta hai

according to my experience ek blogger 4-5 hour work karta hai aur vo bhi hard work . uske sath me vo smart work bhi banane me laga rahta hai . blog design me , blog content me , blog ranking me har jagah vo bar bar dekhta hai . ek post update karne ke bad vo utni khushi mahshush karta hai , jaise koi jang hi jit li ho aur jab us post par jo usne badi mehnat se 3-4 hour nikal kar post likhi thi us par visitor nahi aate hai to vo akal me kisan ki halat sa ho jata hai .

blogger new idea dhundhne , traffic ko pakdne jaisi koi nayi bat sunte hi doud jata hai . aur use jab badi mehnat se kiye work ko fack samjhne lagta hai fir naraj hota . 

yaha kahne ka matlab online blogger mehanat karta hai

Blogger kab sota aur uthta hai

baki log 9-10 baje sote hai jabki blogger 11-12 baje sota hai . blogger late night work karta hai . aur morning me jaldi uthne ki koshish karta hai . mai khud 4 baje jagkar blogging karta hu . kai blogger kabhi kabhi puri puri night jagte hai . reason aapko pata hi hai

Blogging me success hona means...

blogging me success hone ke liye aapko hard work aur smart work ke sath kam karna padta hai . kuch blogger aise hai jo kai salo se blogging karte hai par aaj tak 1 paisa bhi na kama paye . aur kuch blogging aise hai jo per day lakho kama rahe hai ..

blogging me hard work ki bikul jarurat nahi hai .  kab kon success ho jata hai pata hi nahi cahlata

aap isko lotri na samjhe ( experience se hi success milti hai )

Blogging start karne ke kuch time bad auto demotivate hote hai

mai present ki bat karu to kafi blogger demotivate hote hai jo kuch word ka use karte hai . jo mujhe thode thode time ke gape me dekhne ko milta hai 
  • mai blogging ko chhod raha hu reason traffic nahi aata
  • hard work karte huye blogging me maza nahi hai 
  • youtube channel start kar raha hu isliye blogging chhod raha hu
par kuch time bad vo hi blogger apne blog ki link facebook par share karte milte hai . reason unhe kahi n kahi se motivation milta rahta hai . kisi success blogger ko dekhkar ya phir aur kai se .

( agar aap blogging karna chahte ya phir karte ho to kabhi bhi demotivate mat hona , karm karte raho fal ki iccha thode time bad karo )

Blogging me log jhooth kitna bolte hai aur kitna sach iski reality kya hai

log blogging me kuch jhooth chala lete hai jaise mai paise kamane ke liye blogging nahi karta . jab paise kamane ke liye blogging nahi karta to apne blog par advitise kyo lagaya hai aur logo ki help ke liye blog banaya hai to logo ko reply kayu nahi deta .

dusra , sabse bada jhooth bolte hai ki itne pais earn kar raha hu . kam ya jyada batana . ( kai log hajaro rupye daily earn karte hai par vo earning ko chupate hai aur kai log 0 par baithe hai vo hajaro me earning batate hai )

Tisra , log kahte hai ki blogging me vo secrate hai ye secrate hai , par mai mere experience ke hishab se kahta hu ki blogging me na koi secrate hota hai aur na koi raz . blogging apne aap me ek secrate hai. haa yaha par jo secrate ka kam karta hai vo hai experience . aur jo lakho earn kar rahe hai vo kar rahe hai experience se na ki kisi secrate se 

iske alava bhi bahut sare jhooth bolte hai , jab aap is duniya me aaoge to pata chal hi jayega . 

kya blogging hamare liye best option hai

ji , ha blogging aapke liye best option ho sakta hai , par usse pahle kuch jaruri banto par gour karte hai . aap ek student , housewife ya employer ho to aapko jyada time school , collage , shop ya home me work karne me chala jata hoga . phir jo aapke pas time basta hai unme se daily 2 hour nikal kar blogging kar sakte ho ( yaha par maine 2 hour kaha par sabhi log apne tarike se work karte hai isliye isse jyada bhi time ho sakta hai )

lekin , aap blogging ke bare me blog chalane ke sath sath learn bhi karna padta hai . blogging me kya hota kya nahi sab sikhna padta hai . aap daily blogging ke bare me ek accha article read karenge ya phir youtube video dekhnge to jald hi aapko blogging ke bare me accha khasha knoledge hone lagega . ( dhayan rahe kisi proffesonal aur acche blogger ko follow kare na ki froud ko )



agar aapko accha khasha knoledge ho jaye aur earning bhi start ho jaye to aap apne experience ya learning ke hishab se full time blogger ban sakte ho .

blogging se hatkar 

agar aap blogger hai ya blogging karna chahte hai to dusre ki banto me kabhi na aaye 50 rs me 10 backlink vagera aapko daily batayenge par jab aap sikh jaoge to aapko sab maloom padne lagega

blogging me aapko kabhi kabhi aise comment bhi aayenge jisme galiya likhi hogi par aapko unhe ignore karna padega aur kabhi kabhi aise comment aayenge jisse 2guna motivate ho jaoge

aap kisi personal topic par ya blogging me badi rukavat par ruk jao to us time demotivate mat hona kyonki jo blogger aap uchaiyo ko chu rahe hai unhone bhi pahle ye hi rasta hai apnaya tha .

Aapko ye post kaisi lagi hame bataye taki ham isse bhi best post aapke liye lekar aa sake aur agar is post se related koi sawal hai to comment me jarur bataye 
i hope ki aapko ye post acchi lagi hogi , agar ha to ise social media par share jarur kare


No comments:

Post a Comment

Thank You Commentiong