Proffesonal Blogger Banne Ke Raste

Monday, April 16, 2018

Blog post me kya likhe aur isse reader par kya effect padega

blogging me aap jane vale ho to aapko ye to pata hona chahiye ki blog ki har post me kya kya likhe . blog ki post me aur kya add kare ya mention kare . isse reader par kya efect padega . naye blogger ko akshar iske bare me jyada jankari nahi hoti hai aur logo ki banto me aakar kab kya kar baithte hai unhe pata hi nahi chalta . user kya padhna chahta hai ye aapko dhayan me hona chahiye

namskar dosto sahi raste par aapka swagat hai . mai aaj is post me jo jankari dena chahta hu vo uper detail me di huyi hai fir bhi bata deta hu . blog post me aisa kya likhe jisse reader khush ho . ham jab apne reader ko khush kar dete hai iska matlab ham blogging me 30% success ho jate hai . aur mere anusar best blogger vo jiske blog par aaye huye visitor me se 80% log vapis usi blog par aaye

isi post ko detail me lekar isme bahut sari acchi information share karne vala hu . mai koi bhi information copy ya sikh kar nahi balki jo maine kiya uski realty kiya thi aur vo hame kya fayda aur kya nuksan de sakta hai uske bare me likhta hu .


Blogging post me kya likhe aur isse reader par kya effect padega

blog post me kabhi jhooth mat likhna aur ho sake utna example ke sath clear sach likhe . mai aur acche se expalain karne ke liye alag alag part me devide kar leta hu 

maine konsa way apnaya blog post likhne ke liye

jab maine apna first blog start kiya to us time blogging ke bare me n to jyada knowledge tha aur na hi bilkul experience . us time maine shuru me copyright post likhna start kiya matlab kisi blog se copy karke likhna par jab mujhe copyright galat maloom hua to maine apne first blog ko hi delete kar diya 

fir mujhe keyword ke bare me kisi ne bataya to mai keyword ko foukas karta hua blogging karta tha , par jab ab jake samjh aaya to mai keyword ko dhayn me rakhkar nahi likhta

ab mai reader ko dhyan me rakhkar post likhta hu . ki reader kya padhna chahte hai . kya vo iske interested hai

Reader kya padhna chahte hai

aap ek reader ki tarah socho , aapko kisi chij ke liye information chahiye For example - blogging . aap kisi blog par visit karte ho aur us par aapko vo information nahi mil pati jo aap janna chahte ho to kya aap us blog ko pasand karoge . kabhi nahi

agar aap apne blog par reader ko dhyan me rakhkar post likhte ho . reader aadhar card kaise download kare chahte hai , aur aapne apni post ka title de diya aadhar card dowload kare aur post me likh diya aadhaar card kya hai . kya ye sahi nahi

aap jis topic par likhte ho vo likho uske bad use reader ki tarah padho ki ye vastav me sahi post hai ya nahi  , agar aapko koi mistake dikhe to turant sahi kar le

2nd , aap apne blog par aaye huye sawalo ka jawab post me likh sakte ho jisse reader samjh jaye , aap blogging karte hai aur aapka accha khasa traffic aata hai to aap har post ko reader ko dhyan me rakhkar karo

Post ko kin tariko se likhe

aapne jo blog banaya hai use niche me aap kya jante ho . aap kai se copy karke na likhe balki apne mann se likhe jaise kuch log exam me nakl karte hai aur kuch log apne mann se likhte hai . apne andar se likho jisse reader padhkar khush ho jaye .

na ki kahi se copy kare aur infomation de de . apne tarike aajmaye jo aata hai likh de par ek bat ka dhyan rakhe kabhi jhoothi information na de



Post summary

logo kahne par aap copyright na likhe aur na hi kisi ki style copy kare apne dil se likhe . agar aap accha likhte ho to reader kab fan ban jate hai pata hi nahi chalta . learning + writing = blogger

so dosto ye post aapko kaisi lagi hame bataye aur aap kaha se likhte hai dil se ya phir kahi aur se hame bataye

agar aapko koi sawal hai to jarur bataye

No comments:

Post a Comment

Thank You Commentiong